Mumbai, Date: 25. 07. 2025
Aaj Juma bayan me Mufti Sahab ne Sahaba (Sahabi) (Companions of Prophet Mohammad S. A. W.) ki azmat aur unki shaan par bayan kiya. Unki azmat aur shaan se related Quran ki aayaten aur Prophet Mohammad SAW ki hadeesen bayan kiye.
Kuchh Sahaba se kuchh galatiyan bhi huyi to Allah ne unhe duniya hi me maaf kar diya aur wo Sahaba bhi us galati par baki nahi rahe.
Hamaare dil aur dimag me kisi bhi Sahabi (Male ya female) ke liye kisi bhi tarah ki koi galatfahami ya bugz nahi rahna chahiye aur saare Sahabi se mukammal mohabbat honi chahiye.
Sahabi se mohabbat rakhne ke liye unka Sahabi hona hi kaafi hai.
Ek hadees ka mafhoom hai ki Jo Nabi Mohammad SAW se mohabbat karta hai wo Sahaba se mohabbat karta hai aur jo Mohammad SAW se bugz rakhta hai wo Sahaba se bugz rakhta hai.
Definition of Sahaba (Sahabi): Jo koi bhi Mohammad SAW se Eiman ki haalat me mila (bhale hi kuchh hi lamhe ke liye) aur uski maut Eiman ki haalat me huyi to Sahaba / Sahabi hain.