Use of Sunday or Holiday
1. Agar aap daily 5 waqt ki farz namaz ada nahi kar paate to aaj ke din 5 Waqt ki namaj ki pabandi karen. Insha Allah, Allah jald hi aapko ise daily ada karne ki taufique dega.
2. Agar aapko daily Quran ki tilawat ka waqt nahi milta, to aaj iske liye waqt nikaalen.
3. Agar aap daily deeni dawat ka kaam nahi kar paate to kam se kam aaj ke din ye amal karen.
4. Daily aap jitna waqt parents, biwi, bachhon ke liye dete hain, aaj ke din usse jyada waqt den.
5. Aaj ke din ghar ka kuchh kaam khud karen jaise ki khana banana, kapde dhona, ghar ki safai karna etc.
6. Aaj ke din apne dost aur rishtedaron ke liye bhi kuchh waqt nikaalen bhale hi phone call karke.
7. Sadqa aur khairat karen halaki ki ye daily karna bhi aasan hai.
8. Gym, khel-kud, tahalne ke liye bhi kuchh waqt nikaalen.
9. Ek bhi gunah kiye bina, kisi ka dil dukhaye bina, chugli-geebat kiye bina aaj ka din gujaaren.
10. Kuchh waqt Quran, Hadees, Deeni kitabon ki study me gujaaren.
- Mohammad Khurshid Alam
No comments:
Post a Comment