Google Ad

Labels

Civil Engineering Jobs (125) Mohammad Khurshid (96) Mechanical Engineering Jobs (82) Engineering Jobs (79) Construction Jobs (72) Electrical Engineering Jobs (69) Islam (52) काम की बातें (49) Government Jobs (42) Politics News (39) Multiple Jobs (33) Architect Job (30) Electronics Engineering Jobs (25) Instrumentation Jobs (22) Bihar News (21) Account Job (20) Draftsman Jobs (17) Chemical Engg Jobs (16) Supervisor Jobs (16) Construction News (15) Safety Jobs (15) Civil Engineering (14) Sales Executive Jobs (14) Computer Science & IT Jobs (13) Civil Engineering Interview (12) L&T Company (12) Interior Designer (11) gulf jobs (9) HR Jobs (8) MEP Jobs (8) Chemist Jobs (7) Electrical engineering (7) Tips to get Job (7) Faculty Jobs (6) Non Teaching Jobs (6) CIDCO Jobs (5) Freelance Work (5) Mining Jobs (5) Part Time Job (5) Quality Control Engineer (5) Work From Home (5) Fresher Jobs (4) NTPC Jobs (4) Online Job at Amazon (4) Quality Control Manager (4) UP ELECTIONS 2017 (4) #Billing (3) Bharati Vidyapeeth Jobs (3) LockDown News (3) Medical Jobs (3) Planning Engineer (3) Question Answer (3) Teacher Jobs (3) Factory Jobs (2) Gemini Engi Fab Limited (2) Saudi Jobs (2) Storekeeper (2) YouTube Channel Tips (2) Alfa InfraProp Pvt Ltd (1) Automobile Jobs (1) CEO Jobs (1) Costing Engineer (1) Film News (1) GGL Jobs (1) HAL Jobs (1) Hinduja Housing Jobs (1) Hofincons Jobs (1) Islamic Mutual Fund (1) LOKSABHA ELECTION 2009 (1) MBA Jobs (1) Ministry of Petroleum and Natural Gas (1) Mohammad Khurshid. (1) NBCC Jobs (1) NPCIL Jobs (1) Oreva & Ajanta Jobs (1) Patel Engineering Ltd (1) Petroleum Engineering Jobs (1) Post Gaduate Jobs (1) Rizvi Builders (1) SDFCL Jobs (1) Tenders (1) Textile Engineering Jobs (1)

Saturday, September 6, 2025

Juma Bayan 05.09.2025 (Day of Eid-ul-MiladunNabi)

Aaj Juma bayan me Mufti sahab Paigambar Mohammad S. A. W. ki khoob aur khoob tareef ki. Unki paidais aur unki khoobsurati ka bahut hi khoobsurati se zikr kiya. Bataya ki agar Mohammad (SAW) se mohabbat me kami hai to apna Eiman me kami hai. Aur Unse sachchi mohabbat ye hai unka bataya tarika hamari jindagi me ho. Agar ham unse mohabbat ka nara lagaate hain, julus nikaalte hain, mahfil sajaate hain par hamari jindagi me sunnat nahi hai to ye jhuthi mohabbat ki nishani hai.

Unhone ye bhi bataya ki Prophet Mohammad SAW ki paidais ka mahina to tay hai ki unki paidais Rabiul Awwal me huyi lekin paidais ki taarikh me ulema ke bich alag alag ray hai. 

Meri baat: 

Sunaat ka matlab sirf chehre par daadhi, sar par topi / imama/ pagdi, dhile dhaale kapde aur takhne se upar pant/ paijama/ lungi hi nahi balki iske saath saath zubaan se mithe bol, baaton me sachchai, halaal kamai, maamlat me saaf-suthrai, amanatdar, insafgoi, nigaahon ki hifazat wagairah bhi hai.

Sunday, August 31, 2025

Eat Home Made or Check Cleanliness of Seller

 कुछ महीने पहले एक मिठाई और नमकीन की दुकान के बाहर खडा़ था। विक्रेता ने गंदे पायदान को उठाया, झाडा़ और उसके झगह पर रख दिया। फिर बिना हाथ धोए मिठाई तौलने लगा। मैं बिना कुछ खरीदे वहां से निकल गया और आज तक दुबारा नहीं गया।

कुछ महीने पहले एक गन्ने जूस के ठेले से गन्ना जूस  पिया। फिर देखा कि विक्रेता जुठे ग्लास को दो बाल्टी गंदे पानी मे डालकर धोता और फिर उसी ग्लास मे नये ग्राहक को सर्व करता। मैं आज तक दुबारा किसी ठेले वाले से कोई जूस नहीं पिया।

उदाहरण कई हैं। कोशिश करना चाहिए कि घर का बना खाएं-पिएं। और घर के बाहर से खाना-पिना पडे़ तो दुकानदार की स्वच्छता पर जरूर ध्यान दें।

Wednesday, August 27, 2025

Husband Wife Joke

 Husband - Wife Joke: -

Husband: Shauhar 1 se jyada shadi karne se darta kyun hai? 

Wife: Kyonki biwi ke paas Belan hota hai. 

Saturday, August 2, 2025

Juma Bayan 01. 08. 2025

 Mumbai,  01. 08. 2025

Aaj Juma bayan me Mufti sahab ne bataya ki Allah ne kisi mahine ya kisi din ya kisi lamhe ko manhoos nahi banaya balki insaan khud hi us lamhe ko manhoos bana leta hai jisme wah koi burai ya koi gunah karta hai. 

Fazilat aur nekiyon ke hisaab se kuchh mahine aur kuchh din bhale hi ek dusre se badhe huye hain (jsise Juma ka din aur mahinon me Ramadan, Muharram, Zilqada, Zilhijja aur Rajab) lekin Allah ne kisi mahine, din ya kisi lamhe ko aisa nahi banaya jisme neki ke kaamon ko mana kiya ho. 

Ye mahina 'Safar' ka mahina chal raha hai aur kuchh log galatfahmi me ise manhoos mahina samajh lete hain jo ki galat hai. Is mahine me bhi aap ghar kharid sakte hain, naya shop chalu kar sakte hain, nikah kar sakte hain aur har nek kaam kar sakte hain.

Nafa aur nuksan ke malik Allah hain. Hame Allah se hi darna chahiye na ki kisi mahine se, kisi din se ya kisi lamhe se. 

Unhone ek latifa bhi sunaya ki ek baar ek badshah shikar ke liye nikala to uski nazar ek kana aur badsurat shaksh par pad gayi to usne use jel me daal diya. Jab 3 din baad wah shikar karke lauta to us kaana shaksh ko ajad kar diya aur kaha ki mera shikar to achchha hua, tum manhoos nahi ho. Kana shaksh ne kaha meri nazar aap par padi aur mujhe 3 din ki jel ho gayi. Badshah apne kiye par sharminda hua aur tauba kiya ki aage se aisa galat kaam nahi karega.  

Tuesday, July 29, 2025

Tower in paradise

Tower in paradise

Mumbai,  Date: 29th July 2025

Aaj Mumbai ke ek 55th floor wale building tower me jana hua. Company ki taraf se ek flat ka Interior Works ka measurements lena tha. 

Is tower me Mumbai ki ek famous film actress ka bhi flat hai Rs. 48 Crore ka. Aur bhi kai punjipatiyon aur ameeron ke flats hain. 

Mere ek saathi in duniyawi nematon ki taarif karne lage. Maine kaha ki aise duniyawi mahal me insan jyada se jyada 100 saal rah sakta hai lekin jo mahal Allah jannat me ata karega usme insaan hamesha hamesha rahega aur wah duniyawi mahal se laakh darje achchha hoga. 

 Aur uske liye is duniyawi jindagi me sirf itna karna hai ki Allah ke saare hukmon ko manana hai aur Allah ke aakhiri Paigambar Mohammad SAW ki sunnaton ko apnana hai. 

Is mahal ko maal se nahin paaya ja sakta balki aamaal se aur Allah ko khush karke. 

Sunday, July 27, 2025

Use of Sunday or Holiday

Use of Sunday or Holiday

1. Agar aap daily 5 waqt ki farz namaz ada nahi  kar paate to aaj ke din 5 Waqt ki namaj ki pabandi karen. Insha Allah, Allah jald hi aapko ise daily ada karne ki taufique dega. 

2. Agar aapko daily Quran ki tilawat ka waqt nahi milta, to aaj iske liye waqt nikaalen. 

3. Agar aap daily deeni dawat ka kaam nahi kar paate to kam se kam aaj ke din ye amal karen. 

4. Daily aap jitna waqt parents, biwi, bachhon ke liye dete hain, aaj ke din usse jyada waqt den. 

5. Aaj ke din ghar ka kuchh kaam khud karen jaise ki khana banana, kapde dhona, ghar ki safai karna etc. 

6. Aaj ke din apne dost aur rishtedaron ke liye bhi kuchh waqt nikaalen bhale hi phone call karke. 

7. Sadqa aur khairat karen halaki ki ye daily karna bhi aasan hai. 

8. Gym, khel-kud, tahalne ke liye bhi kuchh waqt nikaalen. 

9. Ek bhi gunah kiye bina, kisi ka dil dukhaye bina, chugli-geebat kiye bina aaj ka din gujaaren. 

10. Kuchh waqt Quran, Hadees, Deeni kitabon ki study me gujaaren. 

- Mohammad Khurshid Alam


Friday, July 25, 2025

Juma Bayan 25. 07. 2025

Mumbai, Date: 25. 07. 2025

Aaj Juma bayan me Mufti Sahab ne Sahaba (Sahabi) (Companions of Prophet Mohammad S. A. W.) ki azmat aur unki shaan par bayan kiya. Unki azmat aur shaan se related Quran ki aayaten aur Prophet Mohammad SAW ki hadeesen bayan kiye. 

Kuchh Sahaba se kuchh galatiyan bhi huyi to  Allah ne unhe duniya hi me maaf kar diya aur wo Sahaba bhi us galati par baki nahi rahe. 

Hamaare dil aur dimag me kisi bhi Sahabi (Male ya female) ke liye kisi bhi tarah ki koi galatfahami ya bugz nahi rahna chahiye aur saare Sahabi se mukammal mohabbat honi chahiye. 

Sahabi se mohabbat rakhne ke liye unka Sahabi hona hi kaafi hai. 

Ek hadees ka mafhoom hai ki Jo Nabi Mohammad SAW se mohabbat karta hai wo Sahaba se mohabbat karta hai aur jo Mohammad SAW se bugz rakhta hai wo Sahaba se bugz rakhta hai. 

Definition of Sahaba (Sahabi): Jo koi bhi Mohammad SAW se Eiman ki haalat me mila (bhale hi kuchh hi lamhe ke liye) aur uski maut Eiman ki haalat me huyi to Sahaba / Sahabi hain. 

Innocent Prophet Yusuf A. S.

मुसीबत हमेशा गुनाह की सजा नही बल्कि आजमाईश (Test) भी होती है।

पैगंबर युसूफ A. S. को बेगुनाह होते हुए भी जेल जाना पडा़। और जब इस Test मे पास हुए तो अल्लाह ने उन्हे पैगंबरी के साथ बादशाहत भी दी। अल्लाह की इबादत और

नेक अमल करते रहिए। अल्लाह नेकी का बदला नेकी से ही देता है।

Benefits of Masjid (Mosque)

14th July 2025: 

Kal Sunday ko Masjid me jod tha. Hazrat bayan me bata rahe the ki masjid ke mahaul se jude rahenge to dil me pukhta yaqeen ke saath bolenge ki sab kuchh Allah hi se hota hai. 

Warna  bolenge ki Sab kuch Alllah se to hota hai lekin, kintu, parantu, but...........

Benefits of Sunnah (Sunnat)

Sunnat ka fayda aakhirat me to milta hi hai, duniya me bhi milta hai. 

17th July 2025: 

1 Site aisa hai, jahan jaane ke liye 2 Autorickshaw lena padta hai. Aaj subah ghar se nikla to pahle ke driver Ray ji ne sunnat chehre ko dekhte hi apni bimaar beti ke liye dua karne ke liye bola. Phir usse dher saari achchhi baten huyi. 

Dusre ke driver ne khud hi sharab se nuksaan batana shuru kar diya. Sambhaw hai kisi sharabi par nazar padi ho. Yaani usne bhi achchhi baat ki.

Save yourself from wastage of time on mobile phone

 Mobile phone ke bahut saare fayade hain to iske kuchh nuksaan bhi hain. Sabse bada nuksan ye hai ki users ka kimti waqt ko zaya karta hai aur insaani rishton ko kamzor karta hai. Allah, ham sab ko iske nuksaan se bachne ki taufique de. Aameen.

About Marriage and Nikah

Mufti Sahab bayan me bata rahe the ki agar bina nikah kiye gunah karne ka pukhta yaqeen ho to us par nikah farz hai. Jise bina nikah ke gunah karne ka andesha ho to us par nikah wajib hai. Aur baki logon par nikah karna sunnat hai.

If Lift not given by someone

Boss ya koi friend ya koi relative agar sawari (4 Wheeler ya 2 Wheeler even 3 Wheeler) me lift dene se mana kar de to bura nahin manana chahiye kyunki iska genuine reason ho sakta hai. Aajkal log sawari me phone par kai tarah ke baat karte hain. Sambhaw hai, unhe privacy ki jarurat ho ya aur kuchh bhi. Unke mana karne ko positive way me len aur khush rahen. Aameen

Friday, May 9, 2025

Backbiting is a big sin.

 गीबत (पीठ पीछे किसी की बुराई बयान करना) बडे़ गुनाहों मे से एक है। गीबत मे कुछ लोग किसी के लिए गाली भी देते हैं। 

  आज एक आदमी ने फोन पर दुसरे आदमी से तिसरे आदमी के लिए 'थाली का बैंगन', 'तुर्रम खां' आदि विशेषण दिए।

Monday, March 10, 2025

My Story 28th February 2025

आपबीती: 28 फरवरी 2025।

दादर से बदलापुर जाने वाली ट्रेन लिया। मेरा टिकट 1st class का था पर यह ट्रेन miss ना हो इसलिए अपने सामने की बोगी यानी 2nd Class मे ही चढ़ गया।

मेरी सीट के बगल मे बैठा व्यक्ति अगले स्टेशन पर पानी की बोतल खरीदने का असफल प्रयास किया और फिर सीट पर बैठ गया। बोलने लगा 'अगले स्टेशन पर कोशिश करते हैं।'

मेरे बैग मे पानी की 2 बोतल थी। मैने 1 उसे offer किया तो यह बोलते हुए ले लिया कि कल से शायद रोजा ही शुरू हो जाए। मैं हां मे हां मिलाया।

लेकिन यह कहानी का अंत नही है।

7 मार्च 2025 को मेरी बीवी ने मेरे बैग मे रखे पानी की उस 'खास' बोतल के बारे सवाल की जिसे मैने ट्रेन मे पडो़सी को दे दिया था। 

तो मैने उसे वह वाकिया सुनाया। इसके बाद वह बताई कि वह जमजम का पानी था जिस बात से मै भी अनजान था।

अल्लाह की शान! उस व्यक्ति को जमजम पिलाना था। अल्लाह ने मुझे उसके पास भेजा 1st class से 2nd class मे। ना मुझे मालुम कि उसे जमजम दे रहा हूं और न उसे मालूम कि वो जमजम पी रहा है। सब कुछ जिसे मालुम था, है और रहेगा तो वो सिर्फ और सिर्फ अल्लाह है।



Saturday, January 18, 2025

Who is the most Beneficial among Human Being

Singer, dancer, actor and player इंसान को बहुत कम देर के लिए खुशी देते हैं जबकि ईमानदार सामाजिक कार्यकर्ता और ईमानदार नेता इससे कुछ ज्यादा देर।

वैसे लोग जो हमे जहन्नम से बचने और जन्नत मे जाने के उपाय बताएं, सबसे ज्यादा लाभकारी हैं।

यह दुनिया तो फना होने वाली है। आज के इंसान की औसत आयु 60  और 70 साल के बीच है। लेकिन आखिरत लामहदूद है / असंख्य है। अगर कोई कह-सुनकर / प्रेरित कर हमे आखिरत (मरने के बाद की दुनिया) मे कामयाब कर दे तो उससे बडा़ हमदर्द, मददगार, लाभकारी दुनिया मे कोई नही है।

Popular Posts (Last 30 Days)

Contact Form

Name

Email *

Message *