Aaj Juma bayan me Mufti sahab Paigambar Mohammad S. A. W. ki khoob aur khoob tareef ki. Unki paidais aur unki khoobsurati ka bahut hi khoobsurati se zikr kiya. Bataya ki agar Mohammad (SAW) se mohabbat me kami hai to apna Eiman me kami hai. Aur Unse sachchi mohabbat ye hai unka bataya tarika hamari jindagi me ho. Agar ham unse mohabbat ka nara lagaate hain, julus nikaalte hain, mahfil sajaate hain par hamari jindagi me sunnat nahi hai to ye jhuthi mohabbat ki nishani hai.
Unhone ye bhi bataya ki Prophet Mohammad SAW ki paidais ka mahina to tay hai ki unki paidais Rabiul Awwal me huyi lekin paidais ki taarikh me ulema ke bich alag alag ray hai.
Meri baat:
Sunaat ka matlab sirf chehre par daadhi, sar par topi / imama/ pagdi, dhile dhaale kapde aur takhne se upar pant/ paijama/ lungi hi nahi balki iske saath saath zubaan se mithe bol, baaton me sachchai, halaal kamai, maamlat me saaf-suthrai, amanatdar, insafgoi, nigaahon ki hifazat wagairah bhi hai.
No comments:
Post a Comment