Mumbai, 01. 08. 2025
Aaj Juma bayan me Mufti sahab ne bataya ki Allah ne kisi mahine ya kisi din ya kisi lamhe ko manhoos nahi banaya balki insaan khud hi us lamhe ko manhoos bana leta hai jisme wah koi burai ya koi gunah karta hai.
Fazilat aur nekiyon ke hisaab se kuchh mahine aur kuchh din bhale hi ek dusre se badhe huye hain (jsise Juma ka din aur mahinon me Ramadan, Muharram, Zilqada, Zilhijja aur Rajab) lekin Allah ne kisi mahine, din ya kisi lamhe ko aisa nahi banaya jisme neki ke kaamon ko mana kiya ho.
Ye mahina 'Safar' ka mahina chal raha hai aur kuchh log galatfahmi me ise manhoos mahina samajh lete hain jo ki galat hai. Is mahine me bhi aap ghar kharid sakte hain, naya shop chalu kar sakte hain, nikah kar sakte hain aur har nek kaam kar sakte hain.
Nafa aur nuksan ke malik Allah hain. Hame Allah se hi darna chahiye na ki kisi mahine se, kisi din se ya kisi lamhe se.
Unhone ek latifa bhi sunaya ki ek baar ek badshah shikar ke liye nikala to uski nazar ek kana aur badsurat shaksh par pad gayi to usne use jel me daal diya. Jab 3 din baad wah shikar karke lauta to us kaana shaksh ko ajad kar diya aur kaha ki mera shikar to achchha hua, tum manhoos nahi ho. Kana shaksh ne kaha meri nazar aap par padi aur mujhe 3 din ki jel ho gayi. Badshah apne kiye par sharminda hua aur tauba kiya ki aage se aisa galat kaam nahi karega.
No comments:
Post a Comment